300+ bewafa shayari in hindi -shayari image in hindi - बेवफा शायरी

Unke bewafai pe wafa ham karenge, Yaad ko unki dil se juda ham karenge..Itna chaha fir bhi yaqin nahi use, Aisi zindagi jee kar kya karenge.
Teri berukhi ne sikha diya aye bewafa, Ki Mohabbat ek khilona hai, Jisse aasani se toda jata hai.
Wo din bhi suhana tha wo sham bhi suhani thee, Gore gore rung per madhosh wo jawani thee, Fir hamko pata lega ki wo hai ak bewafa, Sochkar rone lege ye meri ak nadani the.
Teri Wafao Mai Sanam, Na Watan Ke Rahe Na Saffer Ke Rahe, Bikhri Lash Ke Itne Tukde Hue, Na Kafan Ke Rahe Na Dafan Ke Rahe.
Tum kya jano kya hai bewafai..Is tutte hue patte se pucho kya hoti hai judai..Yu bewfa ka ilzam na de jalim..Is waqt se puch kis waqt teri yad na aai.
Do Dilo Ki Dhadkano Mein Ek Saaz Hota Hai..Sab Ko Apni Apni Mohobbat Pe Naaz Hota Hai..Us Mein Se Har Ek Bewafa Nahi Hota..Us Ki Bewafai Ke Peeche Bhi Koi Raaz Hota Hai…
Zindagi jeene ke khabil na hoti, Agar rabne Mohabbat banayee na hoti...Dunya mein koi Marne ki Tamanna Hina karta, Agar Mohabbat mein Bewafai na hoti.
Wo bewafai kar ke aise nikla mere sehar se, kaman se teer nikal gaye ho jese...kuch aise kamaal se hote duniya se rukhsat, bewafa ko wafa sikha ke gaye ho jese.
Kis qadar khush hai bhujha kar wo chiraag e zindagi...mein ne roshan kiya, lakin bhuja us ne diya...umar bhar jis sakhs ne mujhe luta boht, sochta hoon zindagi bhar mujh ko kya us ne diya...
Gham nahi mujhe koi ab tere bicharne ka, ab tu ban gaye jese dard ke sahare dukh, ap ne diye hain ye ap ki anayat hai, kis liye na hoon jaan se piyare dukh.
Jis ko chahta hoon wo mera nahi hota, khawahishon ka muasam kun der pa nahi hota, kash dekh le koi ba basi ka ye manzar, be-rukhi se milta hai aur gila nahi hota.
Milne mein tere pehli si shidat nahi rahi, ya yun kahu k sachi muhabat nahi rahi, basti k sare log hi matlab parast hain, jazbon mein in ke ab tu sadaqat nahi rahi.
Wo har khayal pe karta hai guftago mujh se, wafa ki baat pe damaan bachane lagta hai .
Phir kahin door se ik baar sada do mujko, Meri tanhai ka ehsaas dila do mujko, Tum to chand ho tumhe meri zaroorat kiya hai, Main diya hoon kisi chaukhat pe jala do mujko.
Kabhi use bhulana chaha, Kabhi use manana chaha, maine jab bhi chaha sirf use chaha, na jane kya bat thi mere aasuo mein..jo usne muje sirf aur sirf rulana chaha!
Chaha ke ye Aasma humara hota, khwaisho ka koi kinara hota, ye soch kar na roka us musafir ko humne, dur jata hi kyu agar wo hamara hota.
Guzar jayege aapke pas se hawa bankar, beh jayege ankho se aansu bankar, aaj to aapke pas fursat nahi, yaad karoge jab reh jayege dil ki yaad bankar.
Jis ke liye sab kuch luta diya humne, wo kehte hai unko bhula diya humne, gaye the hum unke aansu pochne, ilzam de diya ki unko rula diya humne..!!
Agar Tum Aaina Dekho To Apne Aap Se Nazarein Chura Lena, Ke Aksar Be-wafa Logon Ko, Jab Wo Aaina Dekhen To Aankhen Chor Lagti Hain……
Phir kahin door se ik baar sada do mujko, Meri tanhai ka ehsaas dila do mujhko, Tum to chand ho tumhe meri zaroorat kya hai, Main diya hoon kisi chaukhat pe jala do mujko.
Aasmaan ke taare aksar pucha karte hain, kiya tumhe ab bhi intezar hain uske laut aane ka? aur dil muskura ke kehta hain..mujhe to ab bhi yakeen nahi uske jaaney ka!
Is tarah na muskurao o bewafa dard hota hai, sata lo jitna satana hai ek din dhokha khakar wapas ana hai, jao us din ka v hum intezaar karenge aapka…
Idher Aa Raqeeb MEREY, Tujhe MAIN Galey Laga Loon….MERA Ishq Be-Mazaa Tha, TERI Dushmani Se Pehley..
Lamha Lamha Sanse Khatm Ho Rahi Hai, Jindagi Maut Ke Pahloo Me So Rahi Hai, Us Bewafa Se Mat Pucho Meri Maut Ki Wajah, Wo To Bus Jamane Ko Dikhane Ke Liye Ro Rahi Hai.
Humne kisi se pyar kiya doston,un bewafa niklegi pata n tha, ye shayad humari khata tha us bewafa ne toh humse majak kiya tha..

Sardiyon ki ek sard raat me, wo mere hath tham k bole, itne garm haath waffa ki nishani hoti hai, ab khayal aaya k unke hath thande kyu the……
“Zaroori To Nahi Jo ‘Khushi’ Day Ussi Se “Mohabbat” Ho”, “.Dost.” .....‘PYAAR’ To Aksar ‘DIL’ “TØRNE” Walon Se Ho Jata Hai”.
Dard Jitna Hai Meri Nigaho Me, Paoge Na Utna Kisi Ki Raho Me, Bitani Chahte The Zindagi Jiski Bahon Me, Maut B Na Mil Payi Unki Panah.
Us bewafa ne mujhe barbaad hi kar dala, mujhko zindagi se aazaad hi kar dala, bohot si tammannae jodi thi jinse, saari tammanaaon ka katal hi kar dala...
Aag Dil Me Lagi Jab wo khafa hue, Mehsoos hua Tab Jab wo Juda hue, Karke wafa Kuchh DE Na Sake wo, Par Bahut Kuchh De Gaye Jab wo Bewafa hue... Zindagi to hum bhi jee rahe thay, Taqdeer humari kharab nikli...Tajmahal hum bhi bana sakte thay, Mumtaz humari bewafa nikli...

Bhulne k tujhe najaane kitne waade karte hai, Kaise bhulaun tujhe ye sochkar tujhe yaad karte hai, Jab bhi hota hai zikr jamaane me pyar aur wafa ka, To tumhe bewafa k bahaane yaad karte hai!
Mujhe kisi ne bewafa ka naam diya, Saathi ne jaise zeher ka jaam diya, Jo kabhi kaha karte they, bhula mat dena, Unhone hi bhool jaane ka paigaam de diya...
Mana ki pyar ki daulat roz lutai nahi jati...Jo dil me basa he uski yaade bhulayi nahi jati...Us bewafa se ab kesi dildari, jiske gham me yeh zindagi bitayi nahi jati...
Kya gham hai, kya khushi malum nahi, apna hai ki ajnabi malum nahi, jiske bina ek pal nahi guzarta, kaise guzregi ye zindagi malum nahi…
Kisi Se Bewafai Itni Bhi Na Karo Ki, Unhe Pyar Par Naaz Karne Ka Mauqa Bhi Na Mile...Kisi Ka Dil Itna Bhi Na Todo Ki, Fariyaad Karne Ka Ek Tukda Bhi Na Mile…
Dil ki baaton ka matlab na poocho...Kuch tadpe hai iss tarah humse na poocho...Un purane yaadon ko dil mein dafn kar liya humne...Meri parchai se ab unke yaaden judee hai humse na poocho
Kisi aur ki bahon mein rehkar woh Humse wafa ki baat karte hai...Yeh kaisi chahat hai yaro, woh bewafa hai yeh jaankar bhi...Hum ussi se bepanah pyar karte hai …
Hotho ki baat ye aansu kahte hai...chup rahte hai phir bhi bahte hai...in aansuo ki kismat to dekhiye...ye unke liye bahte hai jo dil me rahte hai...
Din Beet Jate Hain Suhani Yaadein Banker, Bate Rah Jati Hain Kahani Bankar, Par Pyar To Hamesha Dil Ke Karib Rahega, Kabhi Muskaan To Kabhi Ankhon Mein Pani Bankar…
Jo hukum karta hai woh iltejaa bhi karta hai…Yeh Aasman bhi jaake kahin pe jhukta hai...Tu agar bewafa hai to yeh buri khabar bhi sun le...Mera intezaar koi aur bhi kartaa hai…
Hum phool nahi per mehekna jante hain, Bin roye gam ko bhulana jante hain, Log khush hote hain humse, kyunki bina mile hi hum rishtey nibhana jante hain…
Acha hua maloom ho gaya, Apno ki mohabbat ab mohabbat nahi rahi, Warna hum toh apna ghar bhi chord rahe they, Unke dil main rehne ke liye …
Rone ki saza na rulane ki saza hai, Ye dard mohabat ko nibhane ki saza hai, Haste hai to aankhon Se nikal aate hai aansu, Ye us shaks se dil lagane ki saza hai…
Jane kya soch ke lehrein sahil se takrati hain, Aur phir se laut jati hain...Samaj nahi ata ke woh kinaro se bewafai karti hain, Ya phir laut ke samandar se wafa nibhati hain…
Agar Bhigne ka itna hi shoq hai baarish me, To Dekho na meri aankhon me...Baarish to har ek ke liye hoti hai, Lekin ye aankhein sirf tumhare liye barasti hain…
Palko ke kinare humne bhigoye hi nahi, woh sochte hai hum roye hi nahi, woh puchte hai khwabon me kise dekhte ho, hum hai ki ek umr se soye hi nahi…
Pathar ki hai duniya Jajbaat nahi samajhti, Dil me kya hai vo baat nahi samajhti, Tanha to Chand bhi hai sitaron ke beech, par chand ka dard vo raat nahi samajhti…
Aansuon ko palkon pe laaya na kijiye...Dil ki baatein har kisi ko bataya na kijiye…Log mutthi mein namak liye firte hain...Apne har jakhm dikhaya na kijiye…